Dream Shayari | Beautiful Khwab Shayari Lines
Dream shayari is a beautiful way to express the hopes wishes and feelings that live quietly in our hearts. Some dreams carry a smile to our face some repeat us of someone special and others motivate us to believe in a brighter tomorrow. Whether you are looking for sapno ki shayari, khwabon par shayari or romantic lines to share with your loved one the right words can make every dream feel more meaningful. Let these heart-touching khwab shayari lines fill your heart with positivity keep your hopes alive and remind you that every beautiful reality begins with a dream.
Dream Shayari

Suno meri jaan tumhara haath pakadkar,
Ghoomne ka dil karta hai chahe woh khwabon,
Mein ho ya haqeeqat mein.

Ae Khuda bas ek khwaab sachcha de de,
Abki baras monsoon achha de de!

Kuch khaas farq nahi padta,
Ab khwaab adhoore rehne par,
Bahut kareeb se kuch,
Sapno ko tootte dekha hai!

Khwab jitne bhi the jal gaye saare,
Ab in aankhon mein nami ke siwa kuch,
Bhi nahi.

Soye the saare khwaab shehar ke machal gaye,
Murjhaye saare phool gulistaan ke khil gaye,
Netaji humein aapse umeed hai badi,
Taqdeer thi hamari humein aap mil gaye.

Hamare khwaab chori ho gaye hain,
Humein raaton ko neend aati nahi hai!

Bas yahi do masle zindagi,
Bhar na hal hue na neend poori hui,
Na khwaab mukammal hue.

Poora ab mera ye khwaab ho jaaye,
Likh doon unke dil pe kitaab ho jaaye,
Na maikhade ki zaroorat ho na maikhane ki,
Agar aankhoon sy pila do sharab ho jaaye.
Dream Shayari 2 Line

Kal kahin khwaab haqeeqat mein badal jaayenge,
Aaj jo khwaab faqat khwaab nazar aate hain.

Namumkin sa maine ek khwaab dekha,
Khwaab mein tujhe mohabbat nibhate dekha!
Koi bataayega kaise dafnate hain unko,
Woh khwaab jo dil mein hi mar jaate hain.
Chappe chappe mai nigahon ky sakht pehre thy,
Nazar bacha ky tery khwaab mai chaly aaye hain!
Muddatein lagi bunne mein khwaab ka sweater,
Taiyaar hua to mausam hi badal chuka tha!
Khwaab manushya ko jeene nahi deta aur,
Manushya khwaab ko kabhi marne nahi deta!
Ye khayaal tha kabhi khwaab mein tujhe dekhte,
Kabhi zindagi ki kitaab mein tujhe dekhte!
Dil ne aaj phir tere deedar ka khwaab,
Dekha hai agar fursat mile to khwabon mein,
Chale aana!
Dream Shayari in Hindi
Mujhko dikha raha tha jo manzilon ka,
Khwaab phir mere saamne se woh raasta,
Chala gaya.
Ae paak tera khwaab nazaara hi rahega,
Tu qismat ka maara hai maara hi rahega,
Tere har sawaal ka jawaab karaara hi rahega,
Kashmir hamara hai aur hamara hi rahega!
Sirf khwaab hote to kya baat hoti,
Aap to khwahish ban baithe woh bhi,
Beinteha!
Jab nibhaane hi nahi the to kyun dikhaye the,
Itne khwaab ab ye shikayat mujhe tumse,
Umr bhar rahegi!
Maine dekha hai bahaaron mein chaman ko jalte,
Hai koi khwaab ki taabeer bataane wala.
Tod diya in company walon ne khwaab tujhe,
Paane ka kehte hain tera number bhi meri pahunch,
Se baahar hai!
Raat badi mushkil sy khud ko sulaya hai,
Mainy apni ankhon ko tery khwaab ka,
Lalach dekar.
Meri khushiyon ka sabab hai mujhe neend na,
Aana woh sab pareshaan hain jinke khwaab poore,
Nahi hote!
Imaandari se kaam karne walon ke khwaab,
Bhale hi poore na hon par neend zaroor poori hoti hai!
Khwab Shayari
Jaanta hoon ye khwaab jhoothe hain khwahishein adhoori hain,
Par zinda rehne ko galat fehmiyan,
Bhi zaroori hain.
Kisi ko neend aati hai,
Magar khwaab se nafrat hai,
Kisi ko khwaab pyaare hain,
Magar woh so nahi paate!
Hamare dil se aaj dhuaan nikal raha hai,
Lagta hai aaj usne mere khwabon ko,
Jala daala.
Aaj maine haseen khwaab dekha,
Khud ko muskurate hue aapke saath dekha!
Har raat haseen raat ho,
Bas ek agar tera saath ho,
Beete mera har lamha khoobsurat,
Jaise koi haseen khwaab ho!
Khwaab ka rishta haqeeqat sy na joda jaaye,
Aaina hai isy patthar sy na toda jaaye!
Khwaab dukh dene lage the,
Maine sona hi chhod diya!
Majra kya hai ye bhi bata do,
Aajkal khwabon mein chha jaate ho!
Bade khwaab dekhne ke jazbaat rakhta hoon,
Use poora karne ki main aukaat rakhta hoon!
Kabhi haqeeqat mein bhi badhaya karo taalluq,
Humse ab khwabon ki mulaqaton se,
Tasalli nahi hoti!
Woh ju mumkin na ho ussy mumkin bana, deta hai,
Khwaab dariya ky kinaaroon ko bhi mila deta hai!
🏠 Visit Home Page