Beautiful Birthday Shayari | Sweet & Loving Wishes
Birthday shayari is one of those small things that can make someone’s day feel a lot more special. You do not always need long messages sometimes a few simple lines say everything from the heart. On birthdays people look for words that feel real and warm not just formal wishes. That is why many enjoy sharing birthday shayari in hindi because it sounds natural and full of emotion. Whether it is for a friend family member or someone close these lines carry love good wishes and happiness. A thoughtful shayari can turn a simple birthday wish into something that truly feels personal and memorable.
Birthday Shayari

Tohfa mai tujhy aaj mera dil hi daita hoo,
Ye haseen moka gawana nahi chahta hoon,
Apne dil ki baat tumhare samne batlata hoon,
Aur tumhare janam din ki shubh kamnaye deta hoon.
Happiest Birthday to You

Tamannaon se bhari ho zindagi,
Khawahishon se bhara ho har pal,
Daaman bhi chhota lagne lage,
Itni khushiyan de aapko aane wala kal

Ugta hua suraj dua de aapko,
Khilta hua phool khushboo de aapko,
Hum to kuch dene ke qaabil nahi hain,
Dene wala hazaar khushiyan de aapko
Happy Birthday

Dost tu hai mera sabse nyara,
Tujhe mubarak ho tera janamdin yaara,
Meri bhi na nazar lage tujhe,
Kabhi udaas na ho tera yeh chehra jo bada hai pyara

Meri izzat, meri shohrat, mera rutba,
Aur mera maan hain mere pita,
Mujhko himmat dene wale mere abhimaan hain
Happy Birthday Papa
Birthday Shayari for Lover

Khushi se beete har din,
Har raat suhaani ho,
Jis taraf aapke kadam pade,
Wahan phoolon ki barsaat ho
Happy Birthday

Tumhari is ada pe kya jawab doon,
Apne yaar ko kya tohfa doon,
Koi achha sa phool hota to mangwata maali se,
Jo khud gulaab hai usko kya gulaab doon

Birthday hai aapka,
Dete hain hum yeh dua,
Ek baar jo mil jaayein hum,
Honge na kabhi juda,
Jaan luta denge tujhpe,
Hai yeh apna iraada,
Saath denge jeevan bhar ka,
Hai yeh hamara waada

Jis din aap zameen par aaye, yeh aasmaan bhi khoob roya tha,
Aakhir uske aansu thamte bhi kaise,
Usne apna sabse pyara taara jo khoya tha
Happy Birthday

Dil sy meri dua hai k khush rahu tum,
Mile na koi gham jahan bhi raho tum,
Samandar ki tarah dil hai gehra tumhara,
Sada khushiyon se bhara rahe daaman tumhara
Happy Birthday Dear
Birthday Wishes Shayari

Swarg lok se Indra dev,
Vaikunth se Vishnu ji,
Kailash se Mahadev,
Brahmalok se Brahma ji,
Aur Prithvi lok se Rohan,
Aapko janamdin ki shubhkamnaye dete hain
Ye din, ye mahina, ye tarikh jab jab aayi,
Hum ne kitne pyaar se janamdin ki mehfil sajayi,
Har shama par naam likh diya dosti ka,
Iski roshni mein chaand jaisi teri surat samayi
Bday ki badhai
Muskan aapke honton se kahin jaye nahi,
Aansu aapki palkon pe kabhi aaye nahi,
Pura ho aapka har khwaab,
Aur jo pura na ho wo khwaab kabhi aaye nahi
Mere dost bhi ho tum,
Mera sahara bhi ho tum,
Jeevan ke is safar ke humsafar bhi ho tum,
Mere liye har pal rehte ho fikrmand,
Khushnaseebi hai meri ki tum sa bhai mila mujhe
Janamdin ki dher saari shubhkamnaye
Hum aapke janamdin par dete hain yeh dua,
Hum aur tum milkar honge kabhi na juda,
Jeevan bhar saath denge apna hai yeh waada,
Tujh par apni jaan bhi denge apna hai yeh iraada
Happy Birthday Shayari
Hamari ek pyari si dua hai,
Aapki har dua poori ho,
Jo pyari chahatein hoti hain sapno mein,
Wo saari chahatein aapki poori ho
Janamdin Mubarak
Ek dua maangte hain hum apne khuda se,
Chahte hain aapki khushi poore imaan se,
Sab hasratein poori ho aapki,
Aur aap muskurayein dil-o-jaan se
Happy Birthday
Itni si meri dua qabool ho jaaye,
Ki teri har dua qabool ho jaaye,
Tujhe mile janamdin par laakhon khushiyan,
Aur jo tum chaho Rab se,
Wo pal bhar mein manzoor ho jaaye
Phool khilte rahein zindagi ki raah mein,
Hansi chamakti rahe aapki nigaah mein,
Kadam kadam par mily khushi ki bahar apko,
Dil deta hai yehi dua baar-baar aapko
Us din Khuda ne bhi jashn manaya hoga,
Jis din apko apny haathoo sy banaya hoga,
Usne bhi bahaye honge aansu,
Jis din aapko yahan bhej ke khud ko akela paaya hoga
Heart Touching Birthday Shayari
Khud bhi nachenge tumko bhi nachayenge,
Badi dhoom dhaam se tumhara birthday banayenge,
Gift mein maango agar jaan hamari to aapki kasam,
Hans kar qurbaan ho jaayenge
Hamare liye khaas hai aaj ka din
Jo nahi bitana chahte aapke bin
Waise to har dua aapke liye maangte hain
Phir bhi kehte hain
Khoob saari khushiyan mile aapko is janamdin
Janamdin ki badhai ho
Tamanna karte ho aap jin khushiyon ki,
Woh khushiyan aapke kadmon mein ho,
Ishwar aapko woh sab haqeeqat mein de,
Jo socha aapne sapnon mein ho
Lamha lamha waqt guzar jayega,
Kuch hi der mein aapka janamdin aa jayega,
Abhi hi aapko Happy Birthday keh doon,
Warna baad mein baazi koi aur maar jayega
Happy Birthday My Love
Aasmaan ka chaand teri baahon mein ho,
Tu ju chahy wo teri raahon mai ho,
Har wo khwaab ho poora jo teri aankhon mein ho,
Khush kismati ki har lakeer tere haathon mein ho
Har lamha aapke hothon pe muskan rahe,
Har gham se aap anjaan rahein,
Jiske saath mehak uthe aapki zindagi,
Hamesha aapke paas woh insaan rahe
Birthday Shayari in Roman English
Na gila karta hoon,
Na shikwa karta hoon,
Tum salamat raho bas,
Yahi dua karta hoon
Dost tu hai mera sabse nyara
Tujhe mubarak ho tera janamdin o yaara
Kisi ki kabhi nazar na lage tujhe
Kabhi udaas na ho ye chehra pyara pyara
Janamdin ki bahut bahut shubhkamnayein
Tu khush rahy Khuda kary mera dil yehi dua kary,
Tere hont muskurayein sada, teri aankh sada hansa kare,
Aangan tera sada khushiyon se bhara rahe,
Bahar sada teri hi gali rahe, bas yehi dua meri tere liye rahe
Janamdin Mubarak
Shikshak wo hai jo aapko girne se pehle thaam leta hai,
Lekin aapko upar uthane ki bajaye aapke kapde jhaadta hai,
Or apko phir sy koshish karny ky liay kehta hai
Happy Birthday Sir Ji
Phool mein jis tarah khushboo achhi lagti hai,
Mujhko us tarah meri maa achhi lagti hai,
Khuda salamat or khush rakhy meri maa ko,
Saari duaon mein mujhe ye dua achhi lagti hai
Happy Birthday Mummy
Is jagat mein ek hi nyaayalay aisa hai jahan saare gunaah maaf hain,
Aur wo hai Maa,
Duniya ki sabse achhi maa ko janamdin mubarak ho
Happy Birthday Mamma
Aayi hai subah wo roshni leke,
Jaise naye josh ki nayi kiran chamke,
Vishwas ki lau sada jalake rakhna,
Degi andheron mein rasta diya banke
Sister Birthday Shayari
Chaand se pyari chaandni,
Chaandni se bhi pyari raat,
Raat se pyari zindagi,
Aur zindagi se bhi pyari meri behna
Happy Birthday Di
Pyari behna,
Lakhon mein milti hai tujh jaisi behan,
Karodon mein milta hai mujh jaisa bhai
Happy Birthday Behna, sada hansti rehna
Har khushi khushi maange aapse
Zindagi zinda dili maange aapse
Ujala ho muqaddar mein aapke itna
Ke chaand bhi roshni maange aapse
Happy Birthday Behna
Aapka janamdin hai khaas
Kyunki aap hote hain sabke dil ke paas
Aur aaj poori ho aapki har aas
Shubh din ya aaye apke zindagi mai hazaar baar
Aur hum aapko janamdin mubarak kehte rahein har baar
Dil sy meri dua hai ke khush raho tum
Mily na koi bhi gham jaha bhi rahu tum
Samandar ki tarah dil hai gehra tumhara
Sada khushiyon se bhara rahe daaman tumhara
Janamdin ki badhai ho
Khushi se beete har din
Har suhaani raat ho
Jis taraf aapke kadam padhein
Wahan phoolon ki barsaat ho
Janamdin ke ye khaas lamhein mubarak
Aankhon mein base naye khwab mubarak
Zindagi jo lekar aayi hai aapke liye aaj
Woh tamaam khushiyon ki haseen saugaat mubarak
Janamdin ki shubhkamnayein
🏠 Visit Home Page