Sad Bewafa Shayari in Hindi | बेवफ़ाई की शायरी
Bewafa shayari in hindi tells about those silent feelings that stay after trust is broken and love changes its route. Hindi words make this shayari feel closer because they bring real emotions and lived experiences. Many people relate to bewafa sad lines when memories hurt but the heart still wants peace. Such bewafa shayari talks about pain patience and self respect without spreading hate.
It helps people understand their feelings and slowly move forward. These heart broken hindi lines repeats us that even disloyalty can teach strength and clarity. With time these words turn pain into learning and help the heart feel lighter again.
Bewafa Shayari in Hindi

आग दिल में लगी जब वो ख़फ़ा हुए,
महसूस हुआ तब जब वो जुदा हुए,
करके वफ़ा कुछ दे न सके वो,
पर वो बहुत कुछ दे गए जब बेवफ़ा हुए।
Aag dil mein lagi jab wo khafa hue,
Mehsoos hua tab jab wo juda hue,
Karke wafa kuch de na sake wo,
Par wo bahut kuch de gaye jab bewafa hue.

चलो खेलें वही बाज़ी,
जो पुराना खेल है तेरा,
तू फिर से बेवफ़ाई करना,
मैं फिर आँसू बहाऊँगा।
Chalo khelen wahi baazi,
Jo purana khel hai tera,
Tu phir se bewafai karna,
Main phir aansu bahaunga.

ज़िक्र करना है तो चाय का किया कीजिए,
महबूब तो सभी के बेवफ़ा होते हैं।
Zikr karna hai to chai ka kiya kijiye,
Mehboob to sabhi ke bewafa hote hain.

किताब-ए-इश्क़ लिखने की मुझे फ़ुर्सत नहीं साहब,
अभी तक बेवफ़ाई पर मेरी तहक़ीक़ जारी है।
Kitaab-e-ishq likhne ki mujhe fursat nahi sahib,
Abhi tak bewafai par meri tehqeeq jaari hai.

यह बेवफ़ाओं की बस्ती है,
यहाँ मोहब्बत बहुत सस्ती है।
Yeh bewafaon ki basti hai,
Yahan mohabbat bohat sasti hai.
Bewafa Shayari in Hindi for Love

लिख-लिख कर मिटा दिए,
तेरी बेवफ़ाई के गीत,
किया करती थी तू भी,
वफ़ा एक ज़माने में।
Likh-likh kar mita diye,
Teri bewafai ke geet,
Kiya karti thi tu bhi,
Wafa ek zamane mein.

जल-जल के दिल मेरा जलन से जल रहा,
एक अश्क मेरी आँख में मुद्दत से पल रहा,
जिसका मैं कर रहा हूँ घुट-घुट के इंतज़ार,
वो बेवफ़ा न आई, मेरा दम निकल रहा।
Jal-jal ke dil mera jalan se jal raha,
Ek ashk meri aankh mein muddat se pal raha,
Jiska main kar raha hoon ghut-ghut ke intezar,
Wo bewafa na aayi, mera dum nikal raha.

मैंने कहा जाओ और वो चला गया,
बेवफ़ा इस बात पर वफ़ादार निकला।
Maine kaha jao aur woh chala gaya,
Bewafa is baat par wafadar nikla.

मैं तेरे बाद कोई तेरे जैसा ढूँढता हूँ,
जो बेवफ़ाई करे और बेवफ़ा न लगे।
Main tere baad koi tere jaisa dhoondta hoon,
Jo bewafai kare aur bewafa na lage.

दिल तो मरीज़-ए-इश्क़ ख़ुदा ने दिया ही था,
माशूक़ भी दिया तो बड़ा बेवफ़ा दिया।
Dil to mareez-e-ishq Khuda ne diya hi tha,
Mashooq bhi diya to bara bewafa diya.

वफ़ादार और तुम,
ख़याल अच्छा है।
बेवफ़ा और हम,
इल्ज़ाम भी अच्छा है।
Wafadar aur tum,
Khayaal acha hai.
Bewafa aur hum,
Ilzaam bhi acha hai.
Bewafa Shayari in Hindi 2 Line
बेवफ़ा कुछ नहीं तेरी तक़सीर,
मुझ को मेरी वफ़ा ही रास नहीं।
Bewafa kuch nahi teri taqseer,
Mujh ko meri wafa hi raas nahi.
मैं हज़ारों मिसालें अभी देकर साबित करूँ,
लोग अच्छे घरों से थे और बेवफ़ा हो गए।
Main hazaaron misaalein abhi de kar sabit karoon,
Log ache gharon se the aur bewafa ho gaye.
लो फिर तेरे लबों पर उसी बेवफ़ा का ज़िक्र,
आरिफ, तुझ से कहा न बहुत हुआ।
Lo phir tere labon par usi bewafa ka zikr,
Arif, tujh se kaha na bohat hua.
उसने पूछा कि जी लोगे तन्हा,
हमने कहा यादें बेवफ़ा नहीं होतीं।
Us ne poocha ke jee loge tanha,
Hum ne kaha yaadein bewafa nahi hoti.
इतना भी हम से नाराज़ न हुआ कर,
बदनसीब ज़रूर हैं पर बेवफ़ा नहीं।
Itna bhi hum se naraaz na hua kar,
Badnaseeb zaroor hain par bewafa nahi.
अगर वो मुझे मिल जाता तो मैं दुनिया भर की,
किताबों से “बेवफ़ा” लफ़्ज़ मिटा देती।
Agar woh mujhe mil jata to main duniya bhar ki,
Kitaabon se “bewafa” lafz mita deti.
Bewafa Sad Shayari in Hindi
वफ़ा तुझ से ऐ बेवफ़ा चाहता हूँ,
मेरी सादगी देख क्या चाहता हूँ।
Wafa tujh se ae bewafa chahta hoon,
Meri saadgi dekh kya chahta hoon.
अब हिचकियाँ आएँ तो पानी पी लेना,
ये वहम छोड़ देना कि हमने तुम्हें याद किया।
Ab hichkiyan aayein to paani pee lena,
Yeh veham chhor dena ke hum ne tumhein yaad kiya.
तेरी बेवफ़ाई का ग़म तो नहीं,
मगर तू बेवफ़ा है ये भी ग़म कम नहीं।
Teri bewafai ka gham to nahi,
Magar tu bewafa hai yeh bhi gham kam nahi.
चले जाने दो इस बेवफ़ा को किसी ग़ैर की आग़ोश में,
जो इतनी चाहत के बाद भी मेरा न हुआ, किसी और का क्या होगा।
Chale jaane do is bewafa ko kisi ghair ki aaghosh mein,
Jo itni chahat ke baad bhi mera na hua, kisi aur ka kya hoga.
कोई याद नहीं करता वफ़ा करने वाले को यहाँ ऐ पागल दिल,
मेरी मानो बेवफ़ा हो जाओ, क़सम से ज़माना याद करेगा।
Koi yaad nahi karta wafa karne wale ko yahan ae pagal dil,
Meri maano bewafa ho jao, qasam se zamana yaad karega.
Bewafa Shayari in Hindi for Girlfriend
जिनसे बेवफ़ाई करना हम गुनाह समझते थे,
आज उसने छोड़ते हुए मुड़ कर भी न देखा।
Jin se bewafai karna hum gunaah samajhte the,
Aaj us ne chhorte hue mud kar bhi na dekha.
बेवफ़ा शख़्स से वफ़ा करना,
जैसे सूखी हुई शाख़ को हरा करना।
Bewafa shakhs se wafa karna,
Jaise sookhi hui shaakh ko hara karna.
बहुत ख़याल रखते हैं वो अपने दिल का,
इधर नहीं लगता तो उधर लगा लेते हैं।
Bohat khayaal rakhte hain woh apne dil ka,
Idhar nahi lagta to udhar laga lete hain.
नफ़रत को मोहब्बत की आँखों में देखा,
बेरुख़ी को उनकी अदाओं में देखा,
आँखें नम हुईं और मैं रो पड़ा,
जब अपने को गैरों की बाहों में देखा।
Nafrat ko mohabbat ki aankhon mein dekha,
Berukhi ko unki adaaon mein dekha,
Aankhen nam hui aur main ro pada,
Jab apne ko gairon ki baahon mein dekha.
🏠 Visit Home Page